कुल पेज दृश्य

गुरुवार, 29 अक्तूबर 2020

Kahna vyaktigat

Kitna kathin hota hai kehna
Kahne ko bahut si baaten
Roz chaunki jati hain
Din ke pateele mein 

Shaam ki piyali 
Aundhe munh girti 
Khanakti door Chali jati hai 

Kahne ko bacha hi kya hai
Humare tumhare darmiyan
Hum jab bhi kahne ko
Chalte hain , bhid jate hain
Choor choor ho jate hain
Haar ke rooth jate hain

Bagair kuch kahe sune 
Kayi saal kajal ki kothri
Mein surmayi sapnon ke 
Khwaab paarate hain 

Behtar hai 
Kahne ki aadat mein
Sunne ko ahmiyat dena
Sunna prakratik hai
Kahna vyaktigat !

कोई टिप्पणी नहीं:

मैं आ रहा हूं ... #imamdasta

  जो सिनेमा हमारे नज़दीक के थिएटर या ओ टी टी प्लेटफार्म पर पहुंचता है । वह हम दर्शकों को तश्तरी में परसा हुआ मिलता है । 150 से लेकर 600 रुपए...